% % Contributor: Vandana Sharma (uusharma@uxa.ecn.bgu.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % (ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa - 2 yaad rakhanaa ke tujhe yaad bahut aauu.Ngaa ) - 2 ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa ye milan aur ye hasiin raat nA jaane kab ho saa.Njh ke baad mulaakaat nA jaane kab ho ab tere shahar musaafir kii tarah aauu.Ngaa ai sanam ... chaa.Nd ke aks me.n sUraj kii hasii.n kiran me.n jhiil ke aaIne me.n bahate hue jharano me.n in nazaaro.n mai.n tujhe mai.n hii najar aauu.Ngaa ai sanam ... yaad jab aaegii vo pahalii mulaaqaat tujhe aur muhabbat ke fasaane kii har ik baat tujhe tere khvaabo.n me.n khayaalo.n me.n chalaa aauu.Ngaa ai sanam ... tujh ko is giit kA har sher karegaa bekal merI yaad aaegii jab bhI tujhe ai jaan-e-Gazal nagamaa ban ban ke khayaalaat pe chhaa jaauu.ngaa ai sanam ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.