% % Contributor: Preetham Gopalaswamy (preetham@eng.umd.edu) % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ki: kashtI kA khaamosh safar hai, shaam bhI hai tanahaaI bhI dUr kinAre par bajatI hai laharo.n kI shahanAI bhI aaj mujhe kuchh kahanA hai, aaj mujhe kuchh kahanA hai lekin ye sharmIlI nigaahe.n mujhako ijaazat de.n to kahU.N ye merI betaab uma.nge.n tho.DI fursat de.n to kahU.N su: jo kuchh tumako kahanA hai, vo mere hI dil kI baat na ho jo mere Kvaabo.n kI ma.nzil us ma.nzil kI baat na ho ki: kahate hue Dar sA lagatA hai, kahakar baat na kho baiThU.N ye jo zarA sA saath milA hai, ye bhI saath na kho baiThU.N su: kabase tumhaare raste pe mai.n, phUl bichhaaye baiThI hU.N kah bhI chuko jo kahanA hai mai.n aas lagaaye baiThI hU.N ki: dil ne dil kI baat samajh lI, ab mu.Nh se kyA kahanA hai aaj nahI.n to kal kah le.nge, ab to saath hI rahanA hai su: kah bhI chuko, kah bhI chuko jo kahanA hai ki: chho.Do ab kyA kahanA hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.