% % Contributor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Credits: % Editor: % Comments: This is the ultimate qawwali about sharaab! I've taken care % to spell the words the way they were pronounced in the song % (e.g. muhaubbat), so they might differ from the classical spelling. % % naa haram me.n, naa sukuu.N milataa hai butakhaane me.n chain milataa hai to saaqii tere maikhaane me.n jhuum, jhuum, jhuum ( jhuum baraabar jhuum sharaabii, jhuum baraabar jhuum ) -3 kaalii ghaTaa hai, aa aa..., mast fazaa hai, aa aa... kaalii ghaTaa hai mast fazaa hai, jaam uThaakar ghuum ghuum ghuum jhuum baraabar ... aaj a.Nguur kii beTii se muhaubbat kar le shekh saahab kii nasiihat se baGaavat kar le isakii beTii ne uThaa rakhii hai sar par duniyaa ye to achchhaa huaa ke a.Nguur ko beTaa naa huaa kamasekam sUrat-e-saaqii kaa nazaaraa kar le aake maiKaane me.n jiine kaa sahaaraa kar le aa.Nkh milate hii javaanii kaa mazaa aayegaa tujhako a.Nguur ke paanii kaa mazaa aayegaa har nazar apanii bakad shauq gulaabii kar de itanii piile ke zamaane ko sharaabii kar de jaam jab saamane aaye to mukaranaa kaisaa baat jab piine kI aajaaye to Daranaa kaisaa dhuum machii hai, aa aa..., maiKaane me.n, aa aa... dhuum machii hai maiKaane me.n, tuu bhii machaa le dhuum dhuum dhuum jhuum baraabar ... isake piinese tabiiyat me.n ravaanii aaye isako buu.Dhaa bhii jo piile to javaanii aaye piine vaale tujhe aajaaegaa piine kaa mazaa isake har ghuu.NT me.n poshiidaa hai piine kaa mazaa baat to jab hai ke tuu mai kaa paraskaar bane tuu nazar Daal de jis par vohii maiKvaar bane mausam-e-gul me.n to piine kaa mazaa aataa hai piine vaalo.n ko hii jiine kaa mazaa aataa hai jaam uThaale, aa aa..., mu.Nh se lagaale, aa aa... jaam uThaale, mu.Nh se lagaale, mu.Nh se lagaakar chuum chuum chuum jhuum baraabar ... jo bhii aataa hai yahaa.N piike machal jaataa hai jab nazar saaqii kI pa.Datii hai sambhal jaataa hai aa idhar jhuumake saaqii kaa leke naam uThaa dekh vo abr uThaa tuu bhii zaraa jaam uThaa is qadar piile ke rag-rag me.n suruur aajaaye qadarat-e-mai se tere chehare pe nuur aajaaye isake har katare me.n naazaa.N hai nihaa.N dariyaadilii isake piinese pataa hotii hai ke zindaadilii shaan se piile, aa aa..., shaan se jiile, aa aa... shaan se piile shaan se jiile, ghuum nashe me.n ghuum ghuum ghuum jhuum baraabar ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.