% % Contributor: Preeti Ranjan Panda (ppanda@du.ICS.UCI.EDU) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % % zamiin chal rahI aasamaan chal rahaa hai ye kisake ishaare jahaan chal rahaa hai zamiin chal rahii ... chalii jaa rahI hai zamaane kii nayyaa najar se nA dekhaa kisiine khevaiyaa nA jaane ye chakkar kahaa.n chal rahaa hai ye kisake ishaare ... ye ha.Nsanaa ye ronaa ye aashaa niraashaa samajh me.n nA aaye ye kyaa hai tamaashaa ye kyo.n raat din kaaravaa.n chal rahaa hai ye kisake ishaare ... ajab hai ye mahafil ajab daastaan hai nA ma.njil hai koI nA koI nishaan hai to phir kis liye kaaravaa.n chal rahaa hai ye kisake ishaare ... bhaTakate to dekhe hazaaro.n sayaane magar raaz kudarat kaa koI nA jaane ye sab silasilaa benishaan chal rahaa hai ye kisake ishaare ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.