% % Contributor: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % % ##hmmm## ... is zamaane me.n is mohabbat me.n kitane dil to.De kitane ghar phuu.Nke jaane kyuu.n log muhabbat kiyaa karate hai.n - 2 dil ke badale dard-e-dil liyaa karate hai.n jaane kyuu.n log muhabbat kiyaa karate hai.n ##hmmm## ... tanhaaii milatii hai, mahafil nahii.n milatii raahe.n muhabbat me.n kabhii manzil nahii.n milatii dil TUT jaataa hai, naakaam hotaa hai ulfat me.n logo.n kaa yahii anjaam hotaa hai koii kyaa jaane, kyo.n ye paravaane, kyo.n machalate hai.n, Gam me.n jalate hai.n aahe.n bhar bhar ke dIvaane jiyaa karate hai.n - 2 jaane kyuu.n log muhabbat kiyaa karate hai.n saavan me.n aa.Nkho.n ko, kitanaa rulaatii hai furakat me.n jab dil ko kisii ko yaad aatii hai ye zindagii yuu.N hii barabaad hotii hai har vaqt ho.nTho.n pe koii fariyaad hotii hai naa davaao.n kaa naam chalataa hai naa duaao.n se kaam chalataa hai zahar ye phir bhii sabhii kyo.n piyaa karate.n hai.n - 2 jaane kyuu.n log muhabbat kiyaa karate hai.n mahabuub se har Gam manasuub hotaa hai din raat ulfat me.n tamaashaa khuub hotaa hai raato.n se bhii lambe ye pyaar ke kisse aashiq sunaate hai.n zafaa ye yaar ke kisse bemuravvat hai, bevafaa hai vo, us sitamagar kaa apane dilavar kaa, naam le le ke duhaaii diyaa karate hai.n - 2 jaane kyuu.n log muhabbat kiyaa karate hai.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.