% % Contributor: ShashiKant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: % Editor: % % l: ye kalii jab talak phuul ban ke khile, intazaar, intazaar, intazaar karo, intazaar karo rafii: intazaar vo bhalaa kyaa kare, tum jise bekaraar, bekaraar, bekaraar karo, l: intazaar karo m: pyaar me.n pyaar kii bhii izaazat nahii.n -2 berukhii hai ajii ye muhaubbat nahii.n l: aa rahaa hai mazaa, tum shikaayat yahii, baar baar, baar baar, baar baar karo, intazaar karo l: husn pe to asar hone vaalaa nahii.n -2 ishq tum ko nA kar de dIvaanaa kahii.n m: hai ye diivaanagii bhii qubuul, tum agar hamase pyaar, hamase pyaar, hamase pyaar karo, l: intazaar karo m: roz hamane bayaan ye fasaanaa kiyaa -2 roz tumane nayaa ek bahaanaa kiyaa l: ye bahaanaa magar, aakhirii hai sanam aitabaar, aitabaar, aitabaar karo, intazaar karo %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.