% % Contributor: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: Pintu Diwana (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [2] % This one does need music! Sheer poetry! AAAH % the bebasee! My all time favourite! % % mai.n jab bhI akelI hotI huu.N, tum chupake se aa jaate ho aur jhaa.Nk ke merI aa.Nkho.n me.n biite din yaad dilaate ho mai.n jab bhI akelI hotI huu.N ... mastaanaa havaa ke jho.nke se har baar vo parade kA hilanaa parade ko paka.Dane kii dhun me.n, do ajanabii hAtho.n kA milanaa aa.Nkho.n me.n dhuaa.N saa chhaa jaanaa, saa.Nso.n me.n sitaaro.n kA khilanaa mai.n jab bhI akelI hotI huu.N ... mu.D mu.Da ke tumhaaraa raste me.n takanaa vo mujhe jaate jaate aur meraa ThiThak kar ruk jaanaa chilaman ##(curtain)## ke kariib aate-aate nazaro.n kA tarasakar rah jaanaa ek aur jhalak paate-paate mai.n jab bhI akelI hotI huu.N ... ro-roke tumhe khat likhatii huu.n aur khud pa.Dhakar ro letii huu.N haalat ke tapate tUphA.n me.n jazabaat kii kashtii khetii ##(row)## huu.N kaise ho kahaa.n ho kuchh to kaho, mai.n tumako sadaaye.n detii huu.N mai.n jab bhI akelI hotI huu.N ... barasaat ke bhiige mausam me.n, sardii kii ThiTharatii rAto.n me.n paharo.n vo yU.nhii baiThe rahanaa, hAtho.n ko paka.Dakar hAtho.n me.n aur lambii-lambii gha.Diyo.n kA kaT jaanaa baato.n-baato.n me.n mai.n jab bhI akelI hotI huu.N ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.