% % Contributor: David Windsor (windeng@fac.anu.edu.au) % Transliterator: David Windsor (windeng@fac.anu.edu.au) % Credits: David Windsor (windeng@fac.anu.edu.au) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % % laakh chhupaao chhup na sakegaa raaj ho kitanaa gaharaa dil kii baat bataa detA hai, asalii naqalii cheharaa phuul me.n khushabuu dil me.n chaahat kabhii n chhipane paaii hai aa.Nkh se Dhalakii banakar surkhii jab jab aakar davaaii hai sach baato.n par lag nahii.n sakataa khaamoshii kaa paharaa dil kii baat bataa detaa hai, asalii naqalii cheharaa ab n ham ko aur bataao hamane to pahachaan liyaa saagar se bhii gahare nikale hamane tum ko jaan liyaa jis ke man me.n chor chhipaa ho saamane kavi vah Thaharaa dil kii baat bataa detaa hai, asalii naqalii cheharaa log to dil ko khush rakhne ko kyaa kyaa Dho.ng rachaate hai bheshh badal kar is duniyaa me.n baharuupiye ban jaate hai.n man darapan me.n mukha.Daa dekho utaraa ra.ng sunaharaa dil kii baat bataa detaa hai, asalii naqalii cheharaa %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.