% % Contributor: Shashikant Joshi urf pintu diwana (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [32] 14 May 1995 % to ye hai wo doosaree duet is film kee jo baar baar dil meN % ik umang paidaa karatee hai. agar aap vishwaas kareN to ek raaz % kee baat bataa-ooN? yahi to khoobee hai RMIM kee, ki jo man meN % ho wo type kar do, no long distance phone bill (jo ki India % calls me pooraa ho jaataa hai) % to baat ye hai (I will keep it short), kee Dec 93 meN hamane ek % laD.akee ko dekhaa (to aisaa lagaa ke...). Sach maaniye, % dekhate hee ham laTToo ho gaye! to hamare jehan meN yahee % gaanaa aayaa. To, hamane ek din unhe ek card bhejaa, unke % janm-din par. it was a Garfield card. % Outside: (a smiling Garfield) % I am smiling because you are related to me % Inside: (a LAUGHING Garfield) % and laughing because there is NOTHING you can do about % it!! % % itnaa mazaa aayaa na ki kyaa bataa-ooN.% % % bas ek aur gaanaa hai jo kisi bande ko nashe meN behosh kar % sakataa hai, "... khud DhooNDh rahee hai shamma jise.."% % % to khair, maiN babblaanaa band kartaa hooN % and HERE IS OUR SONG OF THE EVENING, DhaN taD.aN..... % boom badaakaa dam chik dum DHUM % % ra: ho ho ho o aahaa aa: ho ho ho o aahaa ra: rokaa kaI baar mai.nne dil kii uma.ng ko kyaa karuu.n mai.n apanI nigaaho.n kii pasa.nd ko o jaane jaa.n, tuu hii mere pyaar kaa jahaan hai, ho ... aa: rokaa kaI baar mai.nne dil kii uma.ng ko kyaa karuu.n mai.n apanI nigaaho.n kii pasa.nd ko o jaane jaa.n, tuu hii mere pyaar kaa jahaan hai, ho ... aa: ( dekho merii aa.Nkhe.n tumhaaraa hii khumaar hai hoTho.n kii ye laalI sanam teraa pyaar hai ) - 2 dil ko lagaayaa mujhe to iqaraar hai ra: rokaa kaI baar ... ra: (maanaa teraa A.Nchal hAtho.n se abhii dUr hai baaho.n me.n uThaa luu.n ye aramaa.n zuruur hai ) - 2 maano nA maano dIvaanaa bekusuur hai aa: rokaa kaI baar ... aa: ( dekhI terii suurat jo itane kariib se ghir gayii mai.n to khayaalo.n me.n ajiib se ) - 2 dil pe kyaa bItI nA puuchho ye garIb se ( haay kyaa garIb hai!! are, ek tuu hii dhanavaan hai gorI) ra: rokaa kaI baar ... aa: rokaa kaI baar ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.