% % Contributor: Ashok (ADhareshwar@WorldBank.org) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: % Editor: % % mahafil se uTh jaanevaalo.n, tum logo.n par kyaa ilzaam tum aabaad gharo.n ke bAsI, mai.n aavaaraa aur badanaam mere sAthI, mere sAthI, mere sAthI khaalii jaam mere sAthI khaalii jaam do din tum ne pyaar jataayaa, do din tum se mel rahaa achchhaa khaasaa vaqt kaTaa, aur achchhaa khaasaa khel rahaa hii hii ##(hollow laughter)## achchhaa khaasaa khel rahaa ab us khel kaa fikr hii kaisaa, vakt kaTaa aur khel tamaam mere sAthI ... tum ne Dhuu.NDhii sukh kii daulat, mai.nne paalaa Gam kaa rog kaise banAtaa kaise nibhaataa, ye rishtaa aur ye sa.njog mai.n ne dil ko dil se tolA, tum ne maa.nge pyaar ke daam mere sAthI ... tum duniyaa ko behatar samajhe, mai.n pAgal khaarakhaar (?) huA tum ko apanA nahii.n nikalaa thA, khud se bhI bezaar rahaa hii hii ##(hollow laughter again) ## khud se bhI bezaar rahaa dekh liyaa barkhaast (?) tamaashaa, jaan liyaa apanaa anjaam mere sAthI ... mere sAthI khaalii jaam %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.