% % Contributor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % % sudhA: tum mujhe bhUl bhI jAo to ye haq hai tumako merI bAt aur hai mai.nne to muhabbat kI hai mere dil kI mere jazabAt kI kImat kyA hai ulajhe-ulajhe se khyAlAt kI kImat kyA hai mai.nne kyU.n pyAr kiyA tumane na kyU.n pyAr kiyA in pareshAn savAlAt ki kImat kyA hai tum jo ye bhI na batAo to ye haq hai tumako merI bAt aur hai mai.nne to muhabbat kI hai tum mujhe bhUl bhI jAo to ye haq hai tumako mukesh: zindagI sirf muhabbat nahI.n kuchh aur bhI hai zulf-o-ruKasAr kI jannat nahI.n kuchh aur bhI hai bhUkh aur pyAs kI mArI huI is duniyA me.n ishq hI ek haqIkat nahI.n kuchh aur bhI hai tum agar A.Nkh churAo to ye haq hai tumako mai.nne tumase hI nahI.n sabase muhabbat kI hai tum agar A.Nkh churAo to ye haq hai tumako sudhA: tumako duniyA ke Gam-o-dard se furasat naa sahI sabase ulafat sahI mujhase hI muhabbat nA sahI mai.n tumhArI hU.N yahI mere liye kyA kam hai tum mere hoke raho ye merI qismat nA sahI aur bhI dil ko jalAo ye haq hai tumako merI bAt aur hai mai.nne to muhabbat kI hai tum mujhe bhUl bhI jAo to ye haq hai tumako %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.