% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % ai gulabadan, ai gulabadan, phuulo.n kii mahak kaa.NTo.n kii chubhan tujhe dekh ke kahataa hai meraa man kahii.n aaj kisii se muhabbat naa ho jaae kyaa hasiin mo.D par aa ga_ii zi.ndagaanii kii haqiiqat na ban jaae merii kahaanii jab aahe.n bhare ye Tha.nDii pavan siine me.n sulag uThatii hai agan tujhe dekh ke ... kyaa ajiib ra.ng me.n saj rahii hai Kudaaii kii har ik chiiz maalik ne su.ndar banaaii nadiyaa kaa chamakataa hai darapan muKa.Daa dekhe.n sapano.n kii dulhan tujhe dekh ke ... mai.n tumhii.n se yuu.N aa.Nkhe.n milaataa chalaa huu.N ki tumhii.n ko mai.n tumase churaataa chalaa huu.N mat puuchho meraa diivaanaapan aakaash se uu.Nchii dil kii u.Dan tujhe dekh ke ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.