% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Additions : Ravi K Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Editor: % % terii aa.Nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa hai ye uThe.n subah chale, ye jhuke.n shaam Dhale meraa jiinaa meraa maranaa inhii.n palako.n ke tale terii aa.Nkho.n ke sivaa ... (rafii) palako.n kii galiyo.n me.n chehare bahaaro.n ke ha.Nsate hue hai.n mere Kaabo.n ke kyaa-kyaa nagar iname.n basate hue ye uThe.n subah chale ... iname.n mere aanevaale zamaane kii tasviir hai chaahat ke kaajal se likhii huii merii taqadiir hai ye uThe.n subah chale ... (lataa) Thokar jahaa.n maine khaaI inho.nne pukaaraa mujhe ye hamasafar hai.n to kaafii hai inakaa sahaaraa mujhe ye uThe.n subah chale ... ye ho.n kahii.n inakaa saayaa mere dil se jaataa nahii.n inake sivaa ab to kuchh bhii nazar mujhako aataa nahii.n ye uThe.n subah chale ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.