% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % maine shaayad tumhe.n pahale bhii kahii.n dekhaa hai ajanabii sii ho magar gair nahii.n lagatii ho vaham se bhii jo ho naazuk vo yakii.n lagatii ho haay ye phuul saa cheharaa ye ghanerii zulfe.n mere shero.n se bhii tum mujhako ha.nsii.n lagatii ho dekhakar tumako kisii raat kii yaad aatii hai ek Kaamosh mulaaqaat kii yaad aatii hai jahaa.n me.n husn kii Tha.nDak kaa asar jagataa hai aa.nch detii huI barasaat kii yaad aatii hai jisakii palake.n merii aa.Nkho.n pe jhukii rahatii hai.n tum vahii mere Kayaalo.n kii parii ho kii nahii.n kahii.n pahale kii tarah phir to na kho jaaogii jo hameshaa ke liye ho vo khushii ho kii nahii.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.