% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Editor: % % vatan kii raah me.n vatan ke naujavaa.n shahiid ho pukaarate hai.n ye zamiin-o-aasamaa.n shahiid ho shahiid terii maut hii tere vatan kii zi.ndagii tere lahuu se jaag uThegii is chaman me.n zi.ndagii khile.nge phuul us jagah ki tuu jahaa.N shahiid ho, vatan kii ... gulaam uTh vatan ke dushmano.n se i.ntaqaam le in apane dono.n baajuo.n se kha.njaro.n kaa kaam le chaman ke vaaste chaman ke baaGabaa.n shahiid ho, vatan kii ... pahaa.D tak bhii kaa.npane lage tere junuun se tuu aasamaa.n pe inqalaab likh de apane khuun se zamii.n nahii.n teraa vatan hai aasamaa.n shahiid ho, vatan kii ... vatan kii laaj jisako thii ajiiz apanii jaan se vo naujavaan jaa rahaa hai aaj kitanii shaan se is ek javaan kii khaak par har ik javaa.n shahiid ho vatan kii ... hai kaun khushanasiib maa.N ki jisakaa ye chiraaG hai vo khushanasiib hai kahaa.N ye jisake sar kaa taaj hai amar vo desh kyuu.N na ho ki tuu jahaa.N shahiid ho, vatan kii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.