% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Editor: % % zaraa nazaro.n se kah do jii nishaanaa chhuuT na jaae zaraa nazaro.n se kah do jii mazaa jab hai tumhaarii har adaa qaatil hii kahalaae zaraa nazaro.n se... qaatil tumhe pukaaruu.N ke jaan-e-vafaa kahuu.N hairat me.n pa.D gayaa huu.N ke mai.n tum ko kyaa kahuu.N zamaanaa hai tumhaaraa zamaanaa hai tumhaaraa chaahe jisakii zi.ndagii le lo agar meraa kahaa maano to aise khel na khelo tumhaarii is sharaarat se na jaane kis kii maut aae zaraa nazaro.n se... haay, kitanii maasuum lag rahii ho tum tumako zaalim kahe vo jhuuThaa hai ye bholaapan tumhaaraa (ye bholaapan tumhaaraa ye sharaarat aur ye shokhii zaruurat kyaa tumhe.n talavaar kii tiiro.n kii kha.njar kii ) - (2) nazar bhar ke jise tum dekh lo vo khud hii mar jaae zaraa nazaro.n se... ham pe kyuu.N is qadar biga.Datii ho chhe.Dane vaale tumako aur bhii hai.n bahaaro.n par karo gussaa ulajhatii hai.n jo aa.Nkho.n se havaao.n par karo gussaa jo Takaraatii hai.n zulfo.n se kahii.n aisaa na ho koii tumhaaraa dil bhii le jaae zaraa nazaro.n se... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.