% % Contributor: % Transliterator: % Credits: Credits: Anand P. Narayan Banana) (narayan@ucsu.Colorado.EDU) % Editor: % % mausam hai aashiqaanaa ai dil kahii.n se unako aise me.n Dhuu.NDh laanaa kahanaa ke rut javaa.n hai, aur ham taras rahe hai.n kaalii ghaTaa ke saae, birahan ko Da.Ns rahe hai.n Dar hai na maar Daale (saavan kaa kyaa Thikaanaa) - (2) mausam hai ... suuraj kahii.n bhii jaae, tum par na dhuup aae tumako pukaarate hai.n, in gesuo.n ke saae aa jaao mai.n banaa duu.N (palako.n kaa shaamiyaanaa) - (2) mausam hai ... firate hai.n ham akele, baa.nho.n me.n koii le le aakhir koii kahaa.N tak, tanahaaiyo.n se khele din ho gae hai.n zaalim (raate.n hai.n qaatilaanaa) - (2) mausam hai ... ye raat ye khaamoshii ye Kvaab se nazaare jugnuu hai.n yaa zamii.n par, utare hue hai.n taare betaab merii aa.Nkhe.n (madahoshh hai zamaanaa) - (2) mausam hai ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.