% % Contributor: % Transliterator: % Credits: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % cha.ndan saa badan cha.nchal chitavan dhiire se teraa ye muskaanaa mujhe doshh na denaa jag vaalo.n - (2) ho jaauu.N agar mai.n diivaanaa cha.ndan saa ... ye kaam kamaan bha.Nve terii palako.n ke kinaare kajaraare maathe par si.nduurii suuraj ho.nTho.n pe dahakate a.ngaare saayaa bhii jo teraa pa.D jaae - (2) aabaad ho dil kaa viiraanaa cha.ndan saa ... tan bhii su.ndar man bhii su.ndar tuu su.ndarataa kii muurat hai kisii aur ko shaayad kam hogii mujhe terii bahut zaruurat hai pahale bhii bahut mai.n tarasaa huu.N - (2) tuu aur na mujhako tarasaanaa cha.ndan saa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.