% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Renu Tewari (tewari@cs.utexas.edu) % Kedar Nahade (ksn2@Lehigh.EDU) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ra: bahut shukriyaa ba.Dii meharabaanii merii zindagii me.n huzuur aap aae kadam chuum luu.N yaa ye aa.Nkhe.n bichhaa duu.N karuu.N kyaa ye merii samajh me.n na aae bahut shukriyaa... karuu.N pesh tumako nazaraanaa dil kaa nazaraanaa dil kaa ke ban jaae koii afasaanaa dil kaa khudaa jaane aisii suhaanii gha.Dii phir - 2 merii zindagii me.n palaT ke na aae bahut shukriyaa... khushii to bahut hai, magar ye bhii Gam hai ke ye saath apanaa kadam do kadam hai magar ye musaafir duaa maa.Ngataa hai - (2) khudaa aapase kisii din milaae bahut shukriyaa... aa: mujhe Dar hai mujhame.n Guruur aa na jaae laguu.N jhuumane mai.n suruur aa na jaae kahii.n dil ye meraa ye taariif sunakar - (2) tumhaaraa bane aur mujhe bhuul jaae bahut shukriyaa... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.