% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Ayub Mohammed (mohammed@bnr.ca) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % chalaa jaataa huu.N, kisii kii dhun me.n dha.Dakate dil ke, taraane liye milan kii mastii, bharii aa.Nkho.n me.n hazaaro.n sapane, suhaane liye, chalaa jaataa huu.N... ye mastii ke, nazaare.n hai.n, to aise me.n sambhalanaa kaisaa merii qasam tuu laharaatii, Dagariyaa ho, to phir kyuu.N naa chaluu.N mai.n bahakaa bahakaa re mere jiivan me.n, ye shaam aa_ii hai muhabbat vaale, zamaane liye, chalaa jaataa huu.N... vo aalam bhii, ajab hogaa, vo jab mere kariib aaegii merii qasam kabhii ba_iyaa.N chhu.Daa legii, kabhii ha.Nsake gale se lag jaaegii haay merii baaho.n me.n, machal jaaegii vo sachche jhuuThe bahaane liye, chalaa jaataa huu.N... bahaaro.n me.n, nazaaro.n me.n, nazar Daaluu.N to aisaa laage merii qasam vo naino.n me.n, bhare kaajal, ghuu.nghaT khole khaDii hai.n mere aage re sharam se bojhal jhukii palako.n me.n javaa.N raato.n ke fasaane liye, chalaa jaataa huu.N... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.