mere nainaa saavan bhaa.Ndo, phir bhii meraa man pyaasaa


Song Title: mere nainaa saavan bhaa.Ndo, phir bhii meraa man pyaasaa
Movie Name: Mehabooba
Actor(s)/Actress(es): Rajesh Khanna, Hema Malini
Singer(s): Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Rahul Dev Burman
Lyricist(s): Anand Bakhshi
Category(ies): Sad Songs, Rain Songs, Songs about Eyes


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Venkatasubramanian K G (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: Venkatasubramanian K G (gopala@cs.wisc.edu)
%          Jasjit Singh (jasjit@cc.gatech.edu)
%          C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Ranu Singh (singh@cc.gatech.edu)
%          Ashish S Bokil (abokil@hubcap.clemson.edu)
%          Rajan Parrikar (parrikar@mimicad.colorado.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
##Kishore version:##
mere nainaa saavan bhaa.Ndo.n
phir bhii meraa man pyaasaa - (2)

ai dil diivaane, khel hai kyaa jaane
dard bharaa ye, giit kahaa.N se
in ho.nTho.n pe aae, duur kahii.n le jaae
bhuul gayaa kyaa, bhuul ke bhii hai
mujhako yaad zaraa saa,    phir bhii ...

baat puraanii hai, ek kahaanii hai
ab sochuu.N tumhe.n, yaad nahii.n hai
ab sochuu.N nahii.n bhuule, vo saavan ke jhuule
R^itu aaye R^itu jaaye deke
jhuuThaa ek dilaasaa,   phir bhii...

baraso.n biit gae, hamako mile bichha.De
bijurii banakar, gagan pe chamake
biite samay kii rekhaa, mai.nne tumako dekhaa
man sa.ng aa.Nkhamichaulii khele
aashaa aur niraashaa,   phir bhii...
##Lata version:##
mere nainaa saavan bhaa.Ndo
phir bhii meraa man pyaasaa - (2)

baat puraanii hai...

ghu.ngharuu kii chhamachham, ban ga_ii dil kaa Gam
Duub gayaa dil, yaado.n me.n phir (?)
ubharii bera.ng lakiire.n, dekho ye tasviire.n
suune mahal me.n naach rahii hai
ab tak ek rakkaasaa,   phir bhii...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .