% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ra: mai.n pyaar kaa raahii huu.N terii zulf ke saae me.n kuchh der Thahar jaauu.N aa: tum ek musaafir ho kab chho.Dake chal doge ye sochake ghabaraauu.N ra: mai.n pyaar kaa raahii huu.N ra: tere bin jii lage na akele aa: ho sake to mujhe saath le le ra: naazanii.n tuu nahii.n jaa sakegii chho.Dakar zindagii ke jhamele naazanii.n aa: jab bhii chhaae ghaTaa yaad karanaa zaraa saath ra.ngo.n kii umr kahaanii ra: mai.n pyaar kaa raahii huu.N ra: pyaar kii bijaliyaa.N muskuraae.n aa: dekhiye aap par gir na jaae.n ra: dil kahe dekhataa hii rahuu.N mai.n saamane baiThakar ye adaae.n dil kahe aa: na mai.n huu.N naazanii.n na mai.n huu.N mahajabii.n aap hii kii nazar hai diivaanii ra: mai.n pyaar kaa raahii huu.N %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.