% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % tujhase naaraaz nahii.n zindagii, hairaan huu.N mai.n o hairaan huu.N mai.n tere maasuum savaalo.n se pareshaan huu.N mai.n o pareshaan huu.N mai.n jiine ke liye sochaa hii na thaa, dard sambhaalane ho.nge muskuraauu.N to, muskuraane ke karz uThaane ho.nge muskuraauu.N kabhii to lagataa hai jaise ho.nTho.n pe karz rakhaa hai tujhase ... aaj agar bhar aaii hai.n, buu.Nde.n baras jaaye.ngii kal kyaa pataa inake liye aa.Nkhe.n taras jaaye.ngii jaane kahaa.N gum kahaa.N khoyaa ek aa.Nsuu chhupaake rakhaa thaa tujhase ... zindagii tere Gam ne hame.n rishte naye samajhaaye mile jo hame.n dhuup me.n mile chhaa.Nv ke Tha.nDe saaye ##(music for these lines!)## o tujhase ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.