% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Additions : Satish, Ravi % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % vo bhuulii daastaa.n lo phir yaad aa ga_ii - 2 nazar ke saamane ghaTaa sii chhaa ga_ii - 2 vo bhuulii daastaa.n lo phir yaad aa ga_ii kahaa.N se phir chale aaye, vo kuchh bhaTake hue saaye vo kuchh bhuule hue naGame, jo mere pyaar ne gaaye vo kuchh bikharii huii yaade.n, vo kuchh TuuTe hue naGame paraaye ho gaye to kyaa, kabhii ye bhii to the apane na jaane inase kyo.n milakar, nazar sharmaa ga_ii vo bhuulii ... ba.De ra.ngiin zamaane the, taraane hii taraane the magar ab puuchhataa hai dil, vo din the yaa fasaane the faqat ik yaad hai baakii, bas ik fariyaad hai baakii vo khushiyaa.N luT ga_ii lekin, dil-e-barabaad hai baakii kahaa.N thii zindagii merii, kahaa.N par aa ga_ii vo bhuulii ... ummiido.n ke ha.Nsii mele, tamannaao.n ke vo rele nigaaho.n ne nigaaho.n se, ajab kuchh khel se khele havaa me.n zulf laharaa_ii, nazar pe bekhudii chhaaii khule the dil ke daravaaze, muhabbat bhii chalii aaii tamannaao.n kii duniyaa par, javaanii chhaa ga_ii vo bhuulii ... vo bhuulii daastaa.n lo phir yaad aa ga_ii - 2 nazar ke saamane ghaTaa sii chhaa ga_ii - 2 vo bhuulii daastaa.n lo phir yaad aa ga_ii %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.