% % Contributor: % Transliterator: % Credits: Baiju "Bawara" Shah (gt8269b@prism.gatech.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % saa.Nso.n kii zaruurat hai jaise - (2) zi.ndagii ke liye - (2) bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye (jaam kii zaruurat hai jaise - 2), bekhudii ke liye haa.N ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye vaqt ke haatho.n me.n sabakii taqadiire.n hai.n - (2) aaInaa jhuuThaa hai sachchii tasaviire.n hai.n jahaa.N dard hai vahii.n giit hai jahaa.N pyaas hai vahii.n miit hai koI naa jaane magar jiine kii yahii riit hai (saaz kii zaruurat hai jaise -2), mausiqii ke liye bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye ho ho ho ho ho ho ho - (2) ma.nzile.n haasil hai.n phir bhii ek duurii hai binaa hamaraahii ke zi.ndagii adhuurii hai milegii kahii.n koI rahaguzar tanhaa kaTegaa kaise ye safar mere sapane ho jahaa.N DhuunDhuu.n mai.n aisii nazar (chaa.nd kii zaruurat hai jaise -2), chaa.ndanii ke liye bas ek sanam chaahiye, aashiqii ke liye %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.