% % Contributor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % % (tumhArA chAhane vAlA khudA kI duniyA me.n mere sivA bhI koI aur ho khudA nA kare ) - 2 tumhArA chAhane vAlA ... ye bAt kaise gavArA karegA dil merA tumhArA zikr kisI aur kI zubAn pe ho tumhAre husn kI tArIf AInA bhI kare to mai.n tumhArI qasam hai ke to.D dU.N usako tumhAre pyAr tumhArI adA kA dIvAnA mere sivA bhI koI aur ho khudA nA kare tumhArA chAhane vAlA ... % fantastic sitar playing ... vo din nA Aye ke mujhase kabhI judA hokar kisI kA pyAr dobArA kahI.n talAsh karo jhukA ke sar ko kisI ajanabI ke shAno.n par tum apane Gam kA sahArA kahI.n talAsh karo karIb dil ke tumhAre kisI bhI hAlat me.n mere sivA bhI koI aur ho khudA nA kare tumhArA chAhane vAlA ... AshA: tumhAre dil ko kahI.n mujhase kabhI Thes lage mujhe yakIn hai aisA kabhI nahI.n hogA mujhe vafAo.n pe apanI ba.DA bharosA hai tumhArA pyAr hI de jAye nA kahI.n dhokhA duA ye hai ke tumhArA khudA kI duniyA me.n mere sivA bhI koI aur ho khudA nA kare tumhArA chAhane vAlA ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.