% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % nafarat kii laaThii to.Do, laalach kaa kha.njar phe.nko zid ke piichhe mat dau.Do, tum prem ke pa.nchhii ho desh premiyo.n, aapas me.n prem karo desh premiyo.n ... dekho, ye dharatii, ham sab kii maataa hai socho, aapas me.n, kyaa apanaa naataa hai ham aapas me.n la.D baiThe, ham aapas me.n la.D baiThe to desh ko kaun sambhaalegaa koI baahar vaalaa apane ghar se hame.n nikaalegaa diivaano.n hosh karo, mere desh premiyo.n ... miiThe, paanii me.n, ye zahar na tum gholo jab bhii, kuchh bolo, ye soch ke tum bolo bhar jaataa hai gaharaa ghaav jo banataa hai golii se par vo ghaav nahii.n bharataa jo banaa ho ka.Davii bolii se to miiThe bol kaho, mere desh premiyo.n ... to.Do, diivaare.n, ye chaar dishaao.n kii roko, mat raahe.n in, mast havaao.n kii puurab pash{}chim uttar dakkhin vaalo.n meraa matalab hai is maaTii se puuchho kyaa bhaashhaa kyaa isakaa mazahab hai phir mujhase baat karo, mere desh premiyo.n ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.