% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % (EHE100@psuvm.psu.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % tere chehare me.n vo jaaduu hai, bin Dor khi.nchaa jaataa huu.N jaanaa hotaa hai aur magar, terii aur chalaa aataa huu.N jab se tujhako dekhaa hai, dekh ke khuda ko maanaa hai maanake dil ye kahataa hai, merii khushiyo.n kaa tuu hai khajaanaa paanaa tujhako mushkil hii sahii, paane ko machal jaataa huu.N tere chehare me.n ... terii hiire jaise aa.Nkhe.n, aa.Nkho.n me.n hai laakho.n baate.n baato.n me.n ras kii barasaate.n, mujhame.n pyaar kii pyaas jagaaye chal pa.Date hai.n tere saath kadam, mai.n rok nahii.n paataa huu.N tere chehare me.n ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.