% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Rajan P. Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ham the jinake sahaare, vo hue naa hamaare Duubii jab dil kii nayyaa, saamane the kinaare ham the jinake sahaare ... kyaa muhabbat ke vaade, kyaa vafaa ke iraade ret kii hai.n diivaare.n, jo bhii chaahe giraa de jo bhii chaahe giraa de ham the jinake sahaare ... hai sabhii kuchh jahaa.N me.n, dostii hai vafaa hai apanii ye kamanasiibii, hamako naa kuchh bhii milaa hai hamako naa kuchh bhii milaa hai ham the jinake sahaare ... yuu.N to duniyaa basegii, tanahaaI phir bhii Dasegii jo zi.ndagii me.n kamii thii, vo kamii to rahegii vo kamii to rahegii ham the jinake sahaare ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.