% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Swami D. Nigam (nigams@jec330.its.rpi.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % tuu cha.ndaa mai.n chaa.ndanii, tuu taruvar mai.n shaakh re tuu baadal mai.n bijurii, tuu pa.nchhii mai.n paat re naa sarovar, naa baava.Dii, naa koI Tha.nDii chhaa.nv naa koyal, naa papiiharaa, aisaa meraa gaa.nv re kahaa.N bujhe tan kii tapan, o saiyaa.n siramol(?) cha.ndra-kiran to chho.D kar, jaae kahaa.n chakor jaag uThii hai saa.nvare, merii kuaa.nrii pyaas re (piyaa) a.ngaare bhii lagane lage aaj mujhe madhumaas re tujhe aa.nchal mai.n rakhuu.ngii o saa.nvare kaalii alako.n se baa.Ndhuu.ngii ye paa.nv re chal baiyaa.N vo Daaluu.n kii chhuuTe nahii.n meraa sapanaa saajan ab TuuTe nahii.n me.nhadii rachii hatheliyaa.N, mere kaajar-vaale nain re (piyaa) pal pal tujhe pukaarate, ho ho kar bechain re o mere saavan saajan, o mere si.nduur saajan sa.ng sajanii banii, mausam sa.ng mayuur chaar pahar kii chaa.ndanii, mere sa.ng biThaa apane haatho.n se piyaa mujhe laal chunar u.Dhaa kesariyaa dharatii lage, ambar laalam-laal re a.ng lagaa kar saahib re, kar de mujhe nihaal re %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.