% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Faiz Syed (fsyed@sw.stratus.com) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % sab ko maaluum hai mai.n sharaabii nahii.n phir bhii koI pilaae to mai.n kyaa karuu.N sirf ek baar nazaro.n se nazare.n mile.n aur qasam TuuT jaae to mai.n kyaa karuu.N mujh ko mai.n khush samajhataa hai sab ba.Daa khush kyuu.N ke unakii tarah la.Dakha.Daataa huu.N mai.n merii rag rag me.n nashaa muhabbat kaa hai jo samajh me.n naa aae to mai.n kyaa karuu.N haal sun kar meraa sahame-sahame hai.n vo koI aayaa hai zulfe.n bikhere hue maut aur zi.ndagii dono.n hairaan hai.n dam nikalane na paae to mai.n kyaa karuu.N kaisii luuT kaisii chaahat kahaa.N kii khataa bekhudii me.n haay anavar khiduu(?) kaa nashaa zi.ndagii ek nashe ke sivaa kuchh nahii.n tum ko piinaa na aae to mai.n kyaa karuu.N %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.