% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % There is an interesting incident that happened during the % picturization of the song. In the last stanza of the song (kaho yeh % gaalon ke..), when Dev and Hema Malini are seated on a one-seater % winch, with Hema on Dev's lap, some prankster is supposed to have cut % the electricity supply so that Dev and Hema were stranded in mid-air % in each other's arms. Thank God Hema was pretty slim then, Johny mera % naam being one of her initial movies! % satish % lataa: o o mere raajaa, khafaa na honaa der se aaii, duur se aaii majabuurii thii phir bhii maine vaadaa to nibhaayaa, vaadaa to nibhaayaa kishor: o o merii raanii, samajh gayaa mai.n vahii puraanaa, teraa bahaanaa der se aanaa aur ye kahanaa vaadaa to nibhaayaa, vaadaa to nibhaayaa kishor: i.ntazaar ke ek ek pal kaa badalaa luu.Ngaa lataa: aisaa bhii kyaa kishor: ye na samajhanaa aaj bhii aise jaane duu.Ngaa lataa: aisaa bhii kyaa kishor: kitanaa sataayaa pahale usakaa hisaab do a.nkhiyo.n me.n a.nkhiyaa.N Daalake javaab do lataa: bachatii bachaatii kishor: o o lataa: bachatii bachaatii ... chhupatii chhupaatii tum kyaa jaano kaise aaii, vaadaa to nibhaayaa, o o mere raajaa kishor: samajh gayaa mai.n, vahii puraanaa, teraa bahaanaa ... lataa: o o mere raajaa ... lataa: baaho.n kii in za.njiiro.n me.n yuu.N naa jaka.Do kishor: ham jaka.De.nge lataa: mu.D jaaegii merii kalaaI haath na paka.Do kishor: ham paka.De.nge lataa: chho.Do naa kishor: nahii.n lataa: chho.Do naa kishor: aise to naazuk nahii.n haath sarakaar ke mauke bhii kabhii kabhii milate hai.n pyaar ke lataa: pyaar abhii to kishor: ho, o o lataa: pyaar abhii to nayaa nayaa hai merii vafaa kii kadar karo ki, vaadaa to nibhaayaa, o o mere raajaa ... kishor: o o merii raanii ... kishor: kaho ye gaalo.n ke a.ngaare kisake liye hai.n, kaho kaho lataa: ajii tumhaare kishor: haa haa haa haa ho.nTho.n pe ye shahad ke dhaare kis ke liye hai.n, bolo bolo lataa: ajii tumhaare kishor: haa.N, sharm kahaa.N kii aao gale lag jaao jii kab se kha.Daa huu.N pyaasaa pyaas bujhaao jii lataa: haT jaao jii kishor: bujhaao jii lataa: badanaamii se kishor: ho, o o lataa: badanaamii se Dar lagataa hai ye to socho kis mushkil se, vaadaa to nibhaayaa o o mere raajaa ... kishor: samajh gayaa mai.n, vahii puraanaa, teraa bahaanaa ... lataa: o o mere raajaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.