% % Contributor: Ravi Kant Rai % Transliterator: % Credits: Arati Deo (arati@soma.rice.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ye zamii.n gaa rahii hai, aasamaa.N gaa rahaa hai saath mere ye saaraa jahaa.N gaa rahaa hai shokh kaliyo.n ke ghuu.NghaT sarakane lage hai.n mast phuulo.n ke dil bhii dha.Dakane lage hai.n ye bahaaro.n kaa dilakash samaa gaa rahaa hai saath mere ye saaraa jahaa.N gaa rahaa hai jhuumakar parbato.n pe ghaTaa chhaa rahii hai pyaar kii umr shaayad kariib aa rahii hai meraa dil pyaar kii ye daastaa.N gaa rahaa hai saath mere ye saaraa jahaa.N gaa rahaa hai bhuul kar raah koii hasii.n aa na jaae is jagah koii paradaa-nashii.n aa na jaae is jagah aaj ek naujavaa.N gaa rahaa hai saath mere ye saaraa jahaa.N gaa rahaa hai ye zamii.n gaa rahii hai... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.