% % Contributor: Ravi Kant Rai % Transliterator: % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % zindagii kaa safar hai ye kaisaa safar koii samajhaa nahii.n koii jaanaa nahii.n hai ye kaisii Dagar chalate hai.n sab magar koii samajhaa nahii.n koii jaanaa nahii.n zindagii ko bahut pyaar hamane kiyaa maut se bhii muhabbat nibhaae.nge ham rote rote zamaane me.n aaye magar ha.Nsate ha.Nsate zamaane se jaae.Nge ham jaae.Nge par kidhar hai kise ye khabar koii samajhaa nahii.n koii jaanaa nahii.n aise jiivan bhii hai.n jo jiye hii nahii.n jinako jiine se pahale hii maut aa gayii phuul aise bhii hai.n jo khile hii nahii.n jinako khilane se pahale fizaa khaa gaI hai pareshaa.n nazar thak gaye chaaraagar koii samajhaa nahii.n koii jaanaa nahii.n hai ye kaisii Dagar chalate hai.n sab magar koii samajhaa nahii.n koii jaanaa nahii.n zindagii kaa safar hai ye kaisaa safar koii samajhaa nahii.n koii jaanaa nahii.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.