% % Contributor: % Transliterator: Ravi Kant Rai % Credits: Dhrithiman Banerjee (banerked@cs.ucdavis.edu) % Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % raat kalii ek khvaab me.n aaii, aur gale kaa haar huii subah ko jab ham nii.nd se jaage, aa.Nkh tumhii se chaar huii raat kalii ek khvaab me.n aaii, aur gale kaa haar huii chaahe kaho ise, merii mohabbat, chaahe ha.Nsii.n me.n u.Daa do ye kyaa huaa mujhe, mujhako khabar nahii.n, ho sake, tum hii bataa do tumane kadam jo, rakhaa zamii.n par, siine me.n kyo.n jha.nkaar huii raat kalii ... aa.Nkho.nme.n kaajal, aur laTo.nme.n, kaalii ghaTaa kaa baseraa saa.Nvalii suurat, mohanii muurat, saavan rut kaa saveraa jabase ye mukha.Daa, dil me khilaa hai, duniyaa merii gulazaar huii raat kalii ... yuu.N to hasiino.n ke, mahajabiino.n ke, hote hai.n roz nazaare par unhe.n dekh ke, dekhaa hai jab tumhe.n, tum lage aur bhii pyaare baaho.n me.n le luu.N, aisii taman_naa, ek nahii.n, ka_ii baar huii raat kalii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.