% % Contributor: % Transliterator: % Credits: Ravi Kant Rai % K.G.Venkatasubramaniam (KGB) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % pyaar dIvaanaa hotaa hai, mastaanaa hotaa hai har khushii se, har Gam se, begaanaa hotaa hai pyaar dIvaanaa... (shamaa kahe paravaane se, pare chalaa jaa merii tarah jal jaayegaa, yahaa.N nahii.n aa ) - (2) vo nahii.n sunataa usako jal jaanaa hotaa hai har khushii se, har Gam se, begaanaa hotaa hai (rahe koii sau parado.n me.n, Dare sharam se nazar ajii laakh churaaye, koii sanam se ) - (2) aa hii jaataa hai jisape dil aanaa hotaa hai har khushii se, har Gam se, begaanaa hotaa hai (suno kisii shaayar ne ye, kahaa bahut khuub manaa kare duniyaa lekin, mere mahabuub ) - (2) vo chhalak jaataa hai jo paimaanaa hotaa hai har khushii se, har Gam se, begaanaa hotaa hai pyaar dIvaanaa hotaa hai, mastaanaa hotaa hai har khushii se, har Gam se, begaanaa hotaa hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.