% % Contributor: Porky (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % agar mai.n puuchhuu.n javaab doge dil kyo.n meraa ta.Dap rahaa hai tere hI dil me.n hai pyaar kuchh kuchh mere bhI dil me.n zaraa zaraa hai buraa na maano, to apane haatho.n ye bikharI zulfe.n, sa.Nvaar duu.n mai.n hasIn palako.n kI chhaa.Nv me.n ab ye saaraa jIvan guzaar duu.N mai.n ye dil kii baate.n koI na sun le sanam zamaanaa ba.Daa buraa hai, agar mai.n ... nazar bachaa ke, agar mai.n jaauu.n to meraa daaman, naa thaam lenaa koI jo puuchhe ye kyaa havaa hai kabhI bhii meraa naa naam lenaa lagaa ke dil se rakhe.nge ham to ye dard teraa diyaa huaa hai, agar mai.n ... ye Tha.nDii Tha.nDii, machalatii lahare.n hamaare dil ko, jalaa na jaae.n uThI hai tuufaa.N dil-o-nazar me.n kise bachaae.n kise sa.nbhaale.n na chain tumako naa hosh hamako ye kyaa huaa hai ye kyaa huaa hai, agar mai.n ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.