aaj ham ishq kaa izahaar kare.n to kyaa ho


Song Title: aaj ham ishq kaa izahaar kare.n to kyaa ho
Movie Name: Trishul
Actor(s)/Actress(es): Shashi Kapoor, Hema Malini
Singer(s): Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Khaiyyam
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: Rajan Parrikar + Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: 
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
k : aaj ham ishq kaa izahaar kare.n to kyaa ho?
l : jaan pahachaan se inkaar kare.n to kyaa ho?
k : bharii mahafil me.n tumhe pyaar kare.n to kyaa ho?
l : koshishe aap kii betaar kare to kyaa ho?

k : kahate Daratii ho dil me.n maratii ho
jaaneman tum kamaal karatii ho
kahate Daratii ho dil me.n maratii ho
jaaneman tum kamaal karatii ho

k : aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n muskuraatii ho
baato.n baato.n me.n dil lubhaatii ho
narm saa.nso.n kii garm laharo.n se
dil ke taaro.n ko gudagudaatii ho
arre in sab baato.n kaa matalab pUchhe to
ra.ng chehare kaa laal karatii ho
jaaneman tum kamaal karatii ho

l : chup bhii rahie ye kyaa kayaamat hai
aap kii bhii ajIb aadat hai
itanaa ha.ngaamaa kisaliye aakhir
pyaar hai yaa koii musIbat hai
jab bhii milate ho jaane tum kyaa-kyaa
ulTe-sIdhe savaal karate ho
jaaneman tum kamaal karate ho

k : mastiyaa.n sii fazaa.n pe chhaayii hai.n
vaadiyaa.n ra.ng me.n nahaaI hai.n
l : narm-sabz-pe.D shokh phUlo.n ne
makhamalii chhaadare.n bichhaayii hai.n
k : aah, chho.Do sharamaanaa aise mausam me
tabiyat kyo.n nihaal karatii ho
ho! jaaneman tum kamaal karatii ho
l : jab bhii milate ho jaane tum kyaa-kyaa
ulTe-sIdhe savaal karate ho
jaaneman tum kamaal karate ho
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .