% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: Bijal C. Modi (bijal@fission.Nuc.Berkeley.EDU) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % Kaamosh hai zamaanaa, chupachaap hai.n sitaare aaraam se hai .a.a.a, duniyaa, bekal hai.n dil ke maare aise me.n koii aahaT, is tarah aa rahii hai jaise kii chal rahaa ho, man me.n koii hamaare yaa dil dha.Dak rahaa hai .a.a.a ek aas ke sahaare aayegaa, aayegaa, aayegaa aayegaa aanevaalaa, aayegaa, aayegaa diipak bagair kaise, paravaane jal rahe hai.n - 2 koii nahii.n chalaataa, aur tiir chal rahe hai.n - 2 ta.Dapegaa koii kab tak, beaas besahAre lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare aayegaa, aayegaa, aayegaa aayegaa aanevaalaa, aayegaa, aayegaa bhaTakii huii javaanii, ma.nzil ko Dhuu.nDhatii hai - 2 maajhii bagair naiyaa, saahil ko Dhuu.nDhatii hai - 2 kyaa jaane dil kii kashtii, kab tak lage kinaare lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare aayegaa, aayegaa, aayegaa aayegaa aanevaalaa, aayegaa, aayegaa %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.