% % Contributor: C.S.Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Transliterator: % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % samay tuu dhiire dhiire chal saarii duniyaa chho.D ke piichhe aage jaauu.N nikal, mai.n to aage jaauu.N nikal pal pal, ho pal pal ye rut aur ye pyaaraa samaa saaraa jiivan Thahare yahaa.n pyaar ki raaho.n me.n khoI rahuu.N terii hii baaho.n me.n soI rahuu.N aaj kaa din merI muTThii me.n hai kisane dekhaa kal, are kisane dekhaa kal, pal pal ... ruk jaae.n gha.Diyaa.N tuk jaae.n chhin raat kii rut me.n bandh jaae.n din naa mai.n mai.n rahuu.N naa tum tum ik duuje me.n ho jaae.n gum ban ke shamaa paravaanaa dono.n pyaar me.n jaae.n jal, ham to pyaar me.n jaae.n jal, pal pal ... chhoTaa saa ho apanaa ghar naa kuchh fikr naa koI Dar haradam aisaa vaqt rahe aa.Nkho.n se naa aa.Nsuu bahe dharatii paravat hil sakate hai.n apanii priit aTal, dekho apanii priit aTal, pal pal ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.