% % Contributor: C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % tere pyaar kaa aasaraa chaahataa huu.n vafaa kar rahaa huu.n vafaa chaahataa huu.n hasiino se ahad-e-vafaa chaahate ho ba.De naasamajh ho ye kyaa chaahate ho 1) tere narm baalo.n me.n taare sajaa ke tere shokh kadamo.n me.n kaliyaa.n bichhaa ke mohabbat kaa chhoTaa saa mandir banaa ke tujhe raat din pUjanaa chaahataa huu.n, vafaa ... 2) zaraa soch lo dil lagaane se pahale ki khonaa bhii pa.Dataa hai paane ke pahale ijaazat to le lo zamaane se pahale ki tum husn ko pUjanaa chaahate ho, ba.De ... 3) kahaa.N tak jiye.n terii ulfat ke maare guzaratii nahii.n zindagii bin sahaare bahut ho chuke duur rahakar ishaare tujhe paas se dekhanaa chaahataa huu.n, vafaa ... 4) mohabbat kii dushman hai saarii khudaaii mohabbat kii taqadiir me.n hai judaaii jo sunate nahii.n hai.n dilo.n kii duhaaii unhii.n se mujhe maa.nganaa chaahate ho, ba.De ... 5) dupaTTe ke kone ko mu.Nh me.n dabaa ke zaraa dekh lo is taraf muskuraa ke mujhe lUT lo mere nazadiik aa ke ki mai.n maut se khelanaa chaahataa huu.n, vafaa ... 6) galat saare daave.n galat saarii kasame.n nibhe.ngii yahaa.n kaise ulfat ki rasme.n yahaa.n zindagii hai rivaazo.n ke bas me.n rivaazo.n ko tum to.Danaa chaahate ho, ba.De ... 7) rivaazo.n kii paravaah naa rasmo.n kaa Dar hai terii aa.Nkh ke faisale pe nazar hai balaa se agar raastaa purkhatar hai mai.n is haath ko thaamanaa chaahataa huu.n, vafaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.