% % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % bahaar-e-husn terii, mausam-e-shabaab teraa kahaa.N se Dhuu.NDh ke laae koI javaab teraa ye subah bhii tere rukhasaar kii jhalak hii to hai ke naam leke nikalataa hai Afataab teraa jahaa.n tU hai vahaa.n phir chA.Ndanii ko kaun puuchhegaa teraa dar ho to jannat kii galii ko kaun puuchhegaa kalii ko haath me.n lekar bahAro.n ko naa sharamaanaa zamaanaa tujhako dekhegaa kalii ko kaun puuchhegaa farishto.n ko pataa denaa naa apanii rahaguzaaro.n kaa vo qaafir ho gaye to bandagii ko kaun puuchhegaa kisiiko muskuraake khuubasUrat maut naa denaa qasam hai zindagii kii, zindagii ko kaun puuchhegaa %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.