% % Contributor: % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Credits: Amin Meghani (ameghani@bnr.ca) % Editor: % % ho ... jab jab pyaar pe paharaa huaa hai pyaar aur bhii gaharaa (4) huaa hai do pyaar karane valo.n ko ho ho ho ## (and a bottle of rum) ## jab jab duniyaa ta.Dapaaegii mohabbat ba.Dhatii jaaegii ho kuchh bhii karale duniyaa ye na miT paaegii mohabbat ba.Dhatii jaaegii baadal ko barasane se, bijalii ko chamakane se koI bhii rok naa paaegaa (2) phuulo.n ko mahakane se, bulabul ko chahakane se koI bhii rok naa paaegaa (2) jab jab ulfat kii raaho.n me.n duniyaa diivaar uThaaegii mohabbat ba.Dhatii jaaegii (2) is dil kii yaado.n ko, mahabuub ke vaado.n ko koI kyaa baa.ndhe za.njiiro.n se (2) chaahat ke khazaano ko, nazaro.n ke fasaano ko koI paa naa sake jaagiiro.n se jab jab duniyaa dilavaalo.n ko diivaaro.n me chunavaaegii mohabbat ba.Dhatii jaaegii (2) %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.