% % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % bas ek hii sur me.n, ek hii lay me.n subah se dekh-dekh kaise baras rahaa hai udaas paanii phuhaar ke malamalii dupaTTe se u.D rahe hai.n tamaam mausam Tapak rahaa hai palak-palak ris rahii hai ye kaayanaat saarii har ek shay bhiig-bhiig kar kaisii bojhal sii ho gayii hai dimaag kii giilii-giilii socho.n se bhiigii-bhiigii udaas yAde.n Tapak rahii hai.n thake-thake se badan me.n bas dhIre-dhIre saa.Nso.n kaa garam duuban(?) chal rahaa hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.