aur nahii.n bas aur nahii.n, Gam ke pyaale aur nahii.n


Song Title: aur nahii.n bas aur nahii.n, Gam ke pyaale aur nahii.n
Movie Name: Roti Kapda aur Makaan (1974)
Actor(s)/Actress(es): Manoj Kumar, Amitabh Bachchan, Shashi Kapoor
Singer(s):
Music Director(s): Laxmikant, Pyarelal
Lyricist(s):
Category(ies): Sad Songs


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: Porky 
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
aur nahii.n bas aur nahii.n, Gam ke pyaale aur nahii.n 
dil me.n jagah nahii.n baakii, rok najar apanii saakii to
aur nahI.n bas ...

1) sapane nahii.n yahaa.n tere, apane nahii.n yahaa.n tere 
sachchaa_ii kaa mol nahii.n, chup ho jaa kuchh bol nahii.n 
pyaar priit chillaaegaa to, apanaa galaa ga.Nvaaegaa 
patthar rakh le siine par, qasame.n khaa le jiine par 
gaur nahii.n hai aur nahii.n, paravaano.n par gaur nahii.n 
aa.Nsuu aa.Nsuu Dhalate hai.n, a.ngaaro.n par chalate hai.n to 
aur nahii.n bas aur nahii.n ...

2) kitanaa pa.Dhuu.N zamaane ko, kitanaa ga.Dhuu.N zamaane ko 
kaun guNo.n ko ginataa hai, kaun dukho.n ko chunataa hai 
hamadardii kaafuur huI, nekii chakanaachuur huI 
jii karataa bas kho jaauu.N, kafan o.Dhakar so jaauu.N 
daur nahii.n ye aur nahii.n, insaano.n kaa daur nahii.n 
farz yahaa.n par farzii hai, asalii to khudagarzii hai to 
aur nahii.n bas aur nahii.n ...

3) bImaar ho gaI duniyaa, bekaar ho ga_I duniyaa 
marane lagii sharam ab to, bikane lage sanam ab to 
ye raat hai nazaaro.n kii, gairo.n ke sAth yaaro.n kii 
jii hai bigaa.D duu.N saarii, duniyaa ujaa.D duu.N saarii 
zor nahii.n hai zor nahii.n, dil pe kisii kaa zor nahii.n 
koii yaad machal jaae, saaraa aalam jal jaae to 
aur nahii.n bas aur nahii.n ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .