% % Contributor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % ##Talat version: ## ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N kyaa karuu.N, kyaa karuu.N ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ye ruupahalii chhaa.Nv ye aakaash par taaro.n kaa jaal jaise suufii kaa tasavvur, jaise aashiq kaa khayaal aah lekin kaun samajhe, kaun jaane dil kaa haal ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ... raaste me.n ruk ke dam luu.N, ye merii aadat nahii.n lauT kar vaapas chalaa jaaU.N merii fitarat nahii.n aur koI hamanavaa mil jaae ye qismat nahii.n ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ... ##Asha version: ## ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N kyaa karuu.N, kyaa karuu.N ai Gam-e-dil kyaa karuu.N mujhako qismat ne banAyA, ga.ndale pAnI kA ka.nval KAk me.n mil mil gae sab, ArazU ke ye mahal kyA khabar thI yU.N merI taqadIr jAegI badal ai Gam-e-dil ... rUThane vAle kisI, majabUr se rUThegA kyA jis tarah qismat ne lUTA, yU.N koI lUTegA kyA ye mere TUTe hue dil, aur tU TUTegA kyA ai Gam-e-dil ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.