% % Contributor: Satish Subramanium (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Arati Deo (arati@rice.edu) % Credits: Sandip Joshi (sjoshi@eng.clemson.edu) % Editor: % % hamane dekhii hai in aa.Nkho.n kii mahakatii khushabuu haath se chhuuke ise rishto.n kaa ilzaam na do sirf ehasaas hai ye ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do koii naam na do hamane dekhii hai ... pyaar koii bol nahii.n, pyaar aavaaz nahii.n ek khaamoshii hai sunatii hai kahaa karatii hai naa ye bujhatii hai naa rukatii hai naa Thaharii hai kahii.n nuur kii buu.Nd hai sadiyo.n se bahaa karatii hai sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do, koii naam naa do hamane dekhii hai ... muskaraahaT sii khilii rahatii hai aa.Nkho.n me.n kahii.n aur palako.n pe ujaale se chhupe rahate hai.n ho.nTh kuchh kahate nahii.n, kaa.Npate ho.nTho.n pe magar kitane khaamosh se afasaane ruke rahate hai.n sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasuus karo pyaar ko pyaar hii rahane do, koii naam naa do hamane dekhii hai ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.