% % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at) % Credits: Navin Kabra (navin@cs.wisc.edu) % Editor: Anil R. University of Florida (raghani@oak.circa.ufl.edu.) % % mai.n shaayar badanaam, ho mai.n chalaa, mai.n chalaa mahafil se naakaam, ho mai.n chalaa, mai.n chalaa mai.n shaayar badanaam mere ghar se tumako, kuchh saamaan milegaa diivaane shaayar kaa, ek diivaan milegaa aur ik chiiz milegii, TUTaa khaalii jaam ho mai.n chalaa, mai.n chalaa mai.n shaayar badanaam sholo.n pe chalanaa thaa, kaa.NTo.n pe sonaa thaa aur abhii jii bharake, kismat pe ronaa thaa jaane aise kitane, bAkii chho.Dake kaam ho mai.n chalaa, mai.n chalaa mai.n shaayar badanaam rastaa rok rahii hai, tho.Dii jaan hai baakii jaane TUTe dil me.n, kyaa aramaan hai baakii jaane bhii de ai dil, sabako merA salaam ho mai.n chalaa, mai.n chalaa mai.n shaayar badanaam %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.