% % Contributor: Himanshu Bhatt (bhatt@ticipa.pac.sc.ti.com) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: % Editor: % % jab ziiro diyaa mere bhaarat ne bhaarat ne mere bhaarat ne duniyA ko tab ginatii AI taaro.n kii bhaashhaa bhaarat ne duniyA ko pahale sikhalaayii detaa nA dashamalav bhaarat to yuu.N chaa.Nd pe jaanaa mushkil thA dharatii aur chaa.Nd kii duurii kA a.ndaaz lagaanaa mushkil thA sabhyataa jahaa.n pahale AI pahale janamii hai jahaa.N pe kalaa apanA bhaarat jo bhaarat hai jisake piichhe sa.nsaar chalA sa.nsaar chalA aur aage ba.Dhaa jyuu.N aage ba.Dhaa, ba.DhatA hii gayaa bhagavaan kare ye aur ba.Dhe ba.Dhataa hii rahe aur phuule-phale %< madan puri (in his very unusal role) madanapurI: chup kyo.n ho gaye? aur sunaao hai priit jahaa.N kii riit sadA mai.n giit vahaa.n ke gAtaa huu.n bhaarat kA rahane vaalaa huu.n bhaarat kii baat sunaataa huu.n kaale-gore kA bhed nahii.n har dil se hamArA naataa hai kuchh aur nA aataa ho hamako hame.n pyaar nibhaanaa aataa hai jise maan chukI sArI duniyA mai.n baat vohii doharaataa huu.n bhaarat kA rahane vaalaa huu.n bhaarat kii baat sunaataa huu.n jIte ho kisIne desh to kyA hamane to dilo.n ko jItA hai jahaa.N raam abhii tak hai nar me.n naarii me.n abhii tak sItaa hai itane pAvan hai log jahaa.N mai.n nit-nit shIsh jhukaataa huu.n bhaarat kA rahane vaalaa huu.n bhaarat kii baat sunaataa huu.n itanI mamataa nadiyo.n ko bhI jahaa.N maataa kahake bulaate hai itanaa aadar insaan to kyA patthar bhI puuje jaate.n hai is dharatii pe mai.nne janam liyaa ye soch ke mai.n itaraataa huu.n bhaarat kA rahane vaalaa huu.n bhaarat kii baat sunaataa huu.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.