aapake bhiige hue jisam se aa.Nch aatii hai


Song Title: aapake bhiige hue jisam se aa.Nch aatii hai
Movie Name: Kajal
Actor(s)/Actress(es): Raj Kumar
Singer(s): Mahendra Kapoor
Music Director(s): Ravi
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: ShashiKant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) 
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Date:  Sun Jul  9 12:55:52 EDT 1995
% Credits:  
% Editor:  
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [38]
%           (RJGK 22)
%           A slow, very intoxicating song. MK has done more than justice
%           to this. His whispering voice is too much. You can literally
%           feel the heat melting the candle.
%           [Note: some words are spoken differently in the song than in
%           prose, e.g. "jisam", "hoNT", which is prose they are "jism",
%           "hoTh"] 
%
%
aapake bhiige hue jisam se aa.Nch aatii hai
dil ko garmaatii hai, jazbaat ko bha.Dakaatii hai

aapake paas jo aaegaa, pighal jaaegaa
is haraarat se jo ulajhegaa, vo jal jaaegaa

aapakaa husn vo shabanam hai jo sholo.n me.n pale
garm khushbuo.n me.n tapate hue ra.Ngo.n me.n Dhale
kisakaa dil hai jo sambhaale se sambhal jaaegaa

ho.nT hai.n yaa kisii shaayar kii du_aao.n kaa javaab
zulf hai.n yaa kisii saavan ke talabagaar kaa Kvaab
aise jalavo.n ko jo dekhegaa machal jaaegaa

is kadar husn zamaane me.n na dekhaa na sunaa
usakaa kyaa kahanaa jise aapane hamaraaz chunaa
usakii taqadiir kaa iinaam badal jaaegaa
%
% -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .